Popular Posts

Saturday, July 12, 2008

sauda..

sust awaaz kareeb aayi..
suna maine.....
aankhon me boondon ko bhare
dard ka sauda karne aaya
tha wo....


sardi ka mausam..
december ki tesari taarikh
dilchaspi badh gayi thi meri
usme...
mukammal saudagar tha wo
soye saare zakhmo ko
kured kar jaga diya tha usne....
dono ke dard ko ek rang
me mila diya tha usne..

murjhaye sukhe kayi gulaab
saath laaya tha..
roz ek gulaab leti thi main
usase...
ek auns dard bhi pee leti thi
uske badlke wo muskura deta tha

yehi sauda tha roz ka hamara...

mahino ye silsila zari raha
ek din apni awaaz samete
wo saudagar chala gaya..

us din se dard dua ban
phal raha hai mujhme..
dheere dheere main
dehekene lagi hoon..
yakeen hai mujhe
main raakh nahi banungi..

dhuaan ban udd jaaungi..
falak par pahunch baadal
ho jaaungi..
murjhaye sukhe gulabon ko
liye
baras jaaungi uss saudagar par


usse aisa kabhi mehsoos
nahi hone dungi
ki.......
usne ghaate ka sauda
kiya tha...