Popular Posts

Friday, October 31, 2008

ye andhera...

sakhi,
ye andhera..
meri parchhayin..
nigal gaya....
ek toonth
daba hua hai...
mujhme..
na usse dhoop
lagne deta hai....
na sawan ki
bauchaar...
panapne hi nahi deta.
mere andar kuchh....

toonth ki jadh
katthi hoon...
par avsesh
chooth jata
hai sakhi...
(swayam se haar
jati hoon..)

andhera chadar sa
toonth ko lapete
hai...
toonth ki
badhti jadhon ki..
main abhyasth
ho chuki hoon...

sakhi,
ye andhera...
beet jaye .....bas..
naye din ka
intzaar hai mujhe...
toonth to
mujhih mein rahega...
hameshaa....
(mujhe pata hai)...

Monday, October 13, 2008

ek drishtikon..

subah kabhi
chonkti nahi hai...
na uttejana hai..koi..
bas..
adhmara laal
gola purv mein
taang deti hai..
(subah ki jaankari
to mile....)

kale murde raaste
par chalte manushya
unke madhya "main"

"main" kaun??
jeevit hoon ya murda??
is par vivechna
baki hai...

saamne se guzarta
ladka..
ghoorta hai mujhe..
apne badan ko
dekhti hoon "main"..
arre...
"main" jeevit hoon...

meri tarah..
ye ginti ke pedh
jeevit hai..
oxygen de rahe hain
main jee rahi hoon...shayad..
dum ghuthta hai..
oxygen kam ho
rahi hai...

shaam aa
rahi hai..
badsurat laal gola
hata rahi hai...
chamakdaar sheesha
tang gaya hai
aasmaan mein..

'escape velocity' se
ek pathar maaroon...
tukde tukde ho
jaye chaand...
na jane kitno
ki mehboobayen
beshakal ho jaayen.....???

roz yahi tamasha
lagta hai mere saamne..
kaun sa ras hai
inme???
jo hona hai wahi to
hota hai??????