Popular Posts

Monday, October 13, 2008

ek drishtikon..

subah kabhi
chonkti nahi hai...
na uttejana hai..koi..
bas..
adhmara laal
gola purv mein
taang deti hai..
(subah ki jaankari
to mile....)

kale murde raaste
par chalte manushya
unke madhya "main"

"main" kaun??
jeevit hoon ya murda??
is par vivechna
baki hai...

saamne se guzarta
ladka..
ghoorta hai mujhe..
apne badan ko
dekhti hoon "main"..
arre...
"main" jeevit hoon...

meri tarah..
ye ginti ke pedh
jeevit hai..
oxygen de rahe hain
main jee rahi hoon...shayad..
dum ghuthta hai..
oxygen kam ho
rahi hai...

shaam aa
rahi hai..
badsurat laal gola
hata rahi hai...
chamakdaar sheesha
tang gaya hai
aasmaan mein..

'escape velocity' se
ek pathar maaroon...
tukde tukde ho
jaye chaand...
na jane kitno
ki mehboobayen
beshakal ho jaayen.....???

roz yahi tamasha
lagta hai mere saamne..
kaun sa ras hai
inme???
jo hona hai wahi to
hota hai??????

5 comments:

Unknown said...

roz yahi tamasha
lagta hai mere saamne..
kaun sa ras hai
inme???
jo hona hai wahi to
hota hai??????

........seedhe shabdon me acchi rachna hai...

pallavi said...

gr8...........a nice one.....bt its expected. kya comment karun.tu to janti hai.tere pas sabd jitne jyada hain .mere pas utne hi kam.bt its really gud...sachi dil se...

divya said...

thanx to u sidd...for the commment..

divya said...

thanx pooooo...love u a lott..

Kavya!! said...

Nahi mujhe batao tum, ki itna kahan se feel karti ho??
dard ko yun shabdon me itni asaani se kaise udel deti ho??har poem me sochne aur feel karne pe majboor karana...kya kahun?? Jo imagery use karti ho,that makes u a genius....am really proud of u(when it comes to writing)