Popular Posts

Wednesday, December 29, 2010

hmmmm

व्यस्त हो इंसान, तब दिन रात गुजर जाते है..ना ख्याल बिचरते है.न ही कोई सोच उद्वेलित करती है..सीधी राह चलती..पकाऊ जिंदगी.. कुछ पर बीत जाता है ऐसा..जिसे हम सोचते नहीं है..जो सच होता है...दिमाग में दायें-बाएं ऊपर नीचे छुपा हुआ..दो सच,भिन्न से..सामने है...एक-बरसों पुराना दोस्त..हमदर्द..नगण्य सी बात पर मुह मोड गया...(शायद हमेशा...शायद नहीं..)दो-बरसों पुराना मित्र..खोया हुआ सा...मिलने की जिद्द किये हुए है....

Friday, September 3, 2010

सूखे बादल

badalon ki ladiyaan
agal bagal
beech me sarakta hawaijahaj...

char-paanch zakhmon...
...ko badal se sehlaya..
badal ko chipka bhi lia
un zakhmon pe..

geela sa ehsaas sukhad ho sayad......

zakhm bhar jaate hain..aksar

badal ko jab hataya
(laga ki zakhm bhar gae hain...)
lahoo aur chitkaar..

sukhe hue badal zakhm pe chipke the..
is baar sukha pada hai.....
sukhe badal
kabhi zakhm nahi sukhate..sayd...

Friday, June 4, 2010

kuckk khayaal aur...

one way traffick acha hota h.
...unn rahon par gaadiya nahi jamti.
..ek tarfa pyaar dard kyu jama deta h..

suraj aur chand ki baaten
chalti rahengi taumr
std rates kam h aajkal....

na rahi aasmaa kisi ka..
na rahi zameen...
ek ped rhi jiski chaon ke tale..
log aaye aur gaye....

koi dosti ki umr lambi kar de...
tanhaai khud b khud aujhal ho jayegi...

Monday, April 5, 2010

tathastha...

aankh ki kor
khali hai..
aankhen nahi
marodti ab..
dukh mein...

honth bhi kasmasakar
nahi failte..
sukh mein...



bachpan ka sathi...
taad ka ped..
sukh(dried up) gaya..
kya hua???

zindagi prafullit..
kya hua?????????

zindagi vyathith..
kya hua????????

tathastha aa gayi hai..
acha hua............

Saturday, January 2, 2010

choti si kavita...

choti choti adhuri trishnayen....
ek ankhmicholi khelta
ansuljha khwaab...
halki dabayi hui..nirasha..
gol gol ghum ke
kab chakrwat ban jaye..
kise leel le kya jaane....
chota zakhm hi nasoor ban jata
hai kabhi kabhi..
shayad main ye bhulne lagi hoon...