Popular Posts

Wednesday, July 31, 2013

Dhundo..

Raat se khairat na mango
khud se sapne suhane dhundo
rulati rahegi zindagi aksar
hansne ke naye bahane dhundo

nayi bheed se darr jaoge
tanhai me dost purane dhundo
dil machal jaye na samhale
aise matwale nirale gaane dhundo

zakhm par zakhm lage hain agar
zakhm par sadhe nishane dhundo
lehron se aage badh aaye hai jo
unme na ab guzre jamane dhundo

kasmasate dard se bach jaoge agar
ajnabiyon me na jane-pehchane dhundo
Bina chat ke apne ghar me raho 'Divya'
kahin aur na jagmagate thikane dhundo...

Friday, July 26, 2013

Hamara pyar hai..

paththaron se guzarte jharne mein
mere liye tere sajne sawarne mein
din din hans ke tere jeene marne mein
bematlab ka har pal jhagadne mein

shayad chipa hamara pyar hai...

sawan ki rimjhim rimjhim barsaat mein
bina chandni wali jagmagati raat mein
ankahi ansuni nazron se hoti baat mein
chup chup ke hoti hamari mulaqaat mein

shayad chipa hamara pyar hai..

phulon si mehekti huyi teri saanson mein
madhosh adhkhuli shabnami aankhon mein
kapkapate rasbhare surmayi hoton mein
lehrati uththi girti chamakti teri julfon mein

shayad chipa hamara pyar hai...

subah ki kiran mein kukti koyel ki awaz mein 
dopehar ke garam taal ki bajti huyi saaz mein
shaam ki dhundhli ghunghat ki har laaj mein
raat ke saaye mein khamosh pade raaz mein

shayad chipa hamara pyar hai...



Tuesday, July 16, 2013

mohabbat ke dard...

not ghazal..just khayal...

Mohabbat ke dard ka usse intzaar raha
tukdo mein mile ishq se dil bejaar raha

khushq rahi aankhon ki gufayein uski
sehra ka saya aankhon mein har baar raha...

khile garam phool sard raaton mein iss paar
charcha unka idhar se jyada uss paar raha..

thaan liya tha jeena jinke bina humne
tamam umr ussi zalim se humeh pyar raha..

sajati rahi khayalo mein ajeeb si duniya 'ruby'
kehte rahe sab ajeeb usko, ajeeb kirdaar raha..

Thursday, July 11, 2013

shawl aur Zakhm

Pili Makaan ke chat par
Kashmiri Phata chitra
Shawl odhe Bethi
Wo Ladki..
Zakhmon ko chipaye
Huye thi Shawl se...
Rooh ke zakhm..
Ekka-dukka
Badan ke zakhm..
Tez hawa ne jis waqt
Shawl ko uda diya..
Uske zakhm Sabne dekhe..
Bhadde lijlije zakhm..
Mawad se bhare zakhm..
Badh aaye kayi haath
Madad ke..
Kisi ne uske kesh ko
Sehlaya..
Kisi ne uske zakhm ko pani
Se nehlaya..
Ek ne kaha..
”khule zakhm jaldi sukhte hai”
Zakhm khule rahe uske..
Dheere dheere sab chale gaye..
Akeli-Tanha langdate huye
Le aayi Wo ladki Kashmiri
Phata chitra shawl..
Zakhm Rooh ke ho ya Badan
Ke..
Jhoojhna Akele hi padta hai...

Nind aur Baarish

Nind aur Baarish..


Nind ko qaid kiya..
mahin taaro wale
pinjre mein..
Pyar se sehlaya..
dana pani bhi diya..
kahi loriya bhi  gaayin..
haule haule madham
thapkiya deti rahi..
nind rahi phir bhi
gehri ,chir udas..
mskurahat ki ek
rekha bhi nahi ...

pinjre ki ulti disha
mein.
hone lagi baarish..
haath phailaya tha.
 maine..
qaid karne ke liye..
Baarish ki fisalti boondon
ko hatheliyo mein.

muththi bandh kiya..
tabhi dekha..
ungliyo ke faanko se
beh gayi chand
boondein ...
Palat kar dekha..
pinjre ke faanko se..
Nind bhi udd gayi thi..