Popular Posts

Sunday, June 22, 2008

syaah patang...

pakka irada tha
ab se......
syaah patang
nahi udaungi...

pichle baras
syaah patang
pahunchati thi
chaand tak
turant chaand
safedi jhadta tha
patang ke
upari satah par
aur....kalabaajiyan
karta..ithlaata
safed-syaah patang
nazdeek aa
beth jaata tha....

iss baras
kai mahino ke
kai shab gujre..
nitalla chaand
chipka raha
badal ke tukde se

ziddi syaah patang
atka raha arsh par
badal se chan kar
safedi ki
ik boond tapki
us par...

laut aaya
mayoos
gumsum sa....

pakka irada tha
ab se..
syaah patang
nahi udaungi..

par.....ishq hai
mujhe chaand se..
bebas hoon..
majboor hoon..
dor thaam li hai..
phir se..
uda rahi hoon
SYAAH PATANG

Saturday, June 14, 2008

kathghare me yaad...

socha hai khada karoon yaadon ko
katghare mein.....
poochoon-mere jehan se alag
kyon nahi hote?
prajwallit rehte ho hamesha
ek diye ki tarah.....
khud bhi jalte ho mujhe bhi
jalaate ho........
budhe taprecorder ki tarah atke
pade ho usi jagah-usi samay par....
khinch kar nikalti hoon tumhe
garrr garrr kar wahi pahunch
jaate ho.................

itne ilzaam hai tumpar kuch to
jawab do.......
chale jao.......
tumhe aasmaan me uchaala
tum aa gaye....
tumhe sarita me phenkha
tum terkar phirse
mujhme lehraa gaye......
aisa kyon karte ho??...

achcha akhri sawaal sach batana--
tum mujhe nahi chodhte ya phir main........?

prem ka naveen sansaar..

chakshuon ka antrik
vatayan anayaas hi khul gaya
aur prem ke naveen sansaar ka
avlokan hua.....

takrate megh aur
damini ki kondh
prem ke srijan se
jyon abibhoot ho
harshatirek shabd footen ho..

jhulasti dharti par padta
tip tip jal
apne priye ko tadapte dekh
jyon gagan ke nain
ashruon se bah uthe ho....

ek alhad ka
lauttha pranpriya meet
khanakti chudiyaan,bajti
paijaniyaa na jane kitne
kangan khan khan tooten ho.....

iss aur se uss chaur tak
bikhra hai prem hi prem
antrik vatayan khul jaaye
tau sabhi ko nazar aaye......

prem hai...

satya hai,mujhe tumse prem hai.........
mera prem aur tumhara prem
bhinn hai....
tumhara prem sindhu hai
utawala,chanchal..
kabhi kabhi..nirmohi...
mera prem sarita hai
shant,dhiraj sa behta hua....

sindhu lehron ko takrata,
ufanta..sarita ko swayam me
wilin karna chahta hai.......
sarita,dhire dhire shrinkhlaon
se utarti,sapne bunti hai
priya se milan ki.........

meri aankhon me
wahi sapne hai
aur tumme bas
pane ki chah.........

apne har sanshay
ko le sarita..sindhu
ke garbh me ja
milti hai...
woh milan kitna
anokha hota hai
dono sang me
behte hai
apne astitva kho kar

yahi to prem hai...
satya hai mujhe tumse
prem hai.......

chaand..

iss rachna ko maine class 9 me likha tha.....bahut galtiyaan hai isme..
ek hi flow me likh diya tha...aap logon k saath share kar rahi hoon....

baadlon ke ghunghat se nikla chaand
roz ki tarah hai kuch badlla chaand

prem-diye jo hamare madhya jal gaye
unki jyoti se hua hai aur ujlaa chaand

raat ke andhere me nikalta hai sadev...
raat ke rang me nahi hai dhala chaand

chupp gaya chaand,chaandni simat gayi
unki sundarta se khud me hai jala chaand

aman ki jagah jo nafrat badh rahi hai
usse ho raha hai dhundhla chaand..

raat ka jaal..

raat ka jaal hai,
ulta bichha hai...
tumne kaha tha
tum aaoge
suraj ki roshni pakad ke......

jaal ke sire khinch rahi hoon,
jaal sarke,tum aao....
jaal wahin hain
main thak rahi hoon
tum kab aaoge??

subah hai....
tum bhi ho...
muskura rahe ho...
JAAL KA DUSRA SIRA
TUM KHINCH RAHE THE.....!!

tab aur ab..

Tab aur Ab.....
Tab.....

tere khat baadal hote the,
mujh par chaa jaate the...
shabdo ke baarish me..
bheegi main,
sach me,
sundar lagti thi.....

Ab.....

aah!tune mujhe bas dekha
avlokan nahi kiya.....
baadal ka tukdaa
ab nahi barasta mujhpar....
dheere dheere main..
kurup hoti jaa rahi hoon...
kurup hoti jaa rahi hoon

kal raat..



kal raat..
koi tufaan nahi aaya
thaki hawa hilti rahi
taare bhujhe bhujhe se the
10 din poorana chaand nikla

dareeche ke paas baithi woh
tumhari awaaz dhund rahi thi
awaaz mil jaaye to shayad woh
bach jaaye...
bojhil raat sarakti gayi..
sannate gunjte rahe...

intzaar karti rahi woh
lamhe sadiyon se guzre
saans pal bhar me
ruk gayi uski..

kal raat meri mohabbat ne
dam tod diya!!

wo..diary..

abhi baithi hoon
dariche ke paas
badal hata rahin hoon
baar baar..
chaand dikh jaaye
ek-do taare bhi...

akele shab me
seham jaati
hoon main....

yahin bistar par
diary padi hai..
(tumne jo di thi...)
pehle safhe par
likha tha tumne...
"main na rahoonga
jab....tab ye diary
rahegi aapki humraaz"...

phir se chaa gaye hain
badal ghane...
noch rahi hoon unhe ab
thak kar baith gayi hoon
chaand dikhne laga hai..

Diary dareeche se
gira di hai maine..
chaand aur main
ro rahen hain....

kal se main
abb kabhi
badal nahi nochungi....!!