Popular Posts

Saturday, June 14, 2008

kathghare me yaad...

socha hai khada karoon yaadon ko
katghare mein.....
poochoon-mere jehan se alag
kyon nahi hote?
prajwallit rehte ho hamesha
ek diye ki tarah.....
khud bhi jalte ho mujhe bhi
jalaate ho........
budhe taprecorder ki tarah atke
pade ho usi jagah-usi samay par....
khinch kar nikalti hoon tumhe
garrr garrr kar wahi pahunch
jaate ho.................

itne ilzaam hai tumpar kuch to
jawab do.......
chale jao.......
tumhe aasmaan me uchaala
tum aa gaye....
tumhe sarita me phenkha
tum terkar phirse
mujhme lehraa gaye......
aisa kyon karte ho??...

achcha akhri sawaal sach batana--
tum mujhe nahi chodhte ya phir main........?

3 comments:

Unknown said...

pata hai...its so simple...but so nice...padhte waqt ek flow ban gaya....n last line is simply gr8..!!!

Kavya!! said...

last line jab bhi padhti hun is poem ki,har baar soch jaise kuchh der ke liye bilkul ruk jati hai....its awesome and gr8!
bahut bahut achchi poem hai....a creation of urs that I can identify with as well aur isliye yeh special hai mere liye...tumhare feelings aur flow ke baare me bahut kaha hai so yahan repeat nahi karungi...bas dil ko chhoo jati hai...i hope hamesha chhooti rahegi!!

Unknown said...

Good one...very simple thought but your unique style makes it special...