Popular Posts

Sunday, June 22, 2008

syaah patang...

pakka irada tha
ab se......
syaah patang
nahi udaungi...

pichle baras
syaah patang
pahunchati thi
chaand tak
turant chaand
safedi jhadta tha
patang ke
upari satah par
aur....kalabaajiyan
karta..ithlaata
safed-syaah patang
nazdeek aa
beth jaata tha....

iss baras
kai mahino ke
kai shab gujre..
nitalla chaand
chipka raha
badal ke tukde se

ziddi syaah patang
atka raha arsh par
badal se chan kar
safedi ki
ik boond tapki
us par...

laut aaya
mayoos
gumsum sa....

pakka irada tha
ab se..
syaah patang
nahi udaungi..

par.....ishq hai
mujhe chaand se..
bebas hoon..
majboor hoon..
dor thaam li hai..
phir se..
uda rahi hoon
SYAAH PATANG

3 comments:

Unknown said...

this i had read before...its the best of urs...as much i hav read ur "Nazm"...!!!!

keep writing like this...[:)]

Kavya!! said...

yeh bahut deep poem hai...bahut jaankar logon ke according tumhari one of the best....shayad is poem ki gehraai samajhni ab bhi baaki hai mere liye...lekin padhke bahut achchi lagti hai....

Unknown said...

Superb!!!