Popular Posts

Wednesday, August 30, 2017

chaar-deewari


Main kursi mein bethi hoon…

Kamrein mein…

Iss chaar-deewari mein kayi deewar hai…

Do deewaron ke kono ko jodta

Halka utha deewar bhi hai

Dono kono mein…

Iss nikle deewar ki astitva

Aur deewaro se bhinn hai…

Ye tribhujakari hai…

Bhitar rahasyo ka inth-paththar

Thusa ho jaise…

Chaar-deewari ke ye dono tribhujakari deewarein

kaan Hai…

Awaazein nukile hisse se takra

Inme sama jaati hai…

Dheemi swaron mein baatein karti hoon main…

Saamne ke deewar mein…

Chaudhi-choti khidki hai…

Khidki ke aage.…

Patla sikuda raasta hai..

Aur hai lamba sa ek makaan..

Inth-paththron ka makaan…

Makaan mein

Bahut saare chaar-deewarein hain…

Aur unn chaar-deewaron mein kayi deewar..

Main sochti hoon..

Inmein ras kahaan hain??

Inmein kalpana kahaan hain?

Inmein kavita kahaan hai??

Soch mein bhi shayad…

Chaar-deewari hain…

Aur usme kayi deewaar hai…



Divya…

No comments: