badalon ki ladiyaan
agal bagal
beech me sarakta hawaijahaj...
char-paanch zakhmon...
...ko badal se sehlaya..
badal ko chipka bhi lia
un zakhmon pe..
geela sa ehsaas sukhad ho sayad......
zakhm bhar jaate hain..aksar
badal ko jab hataya
(laga ki zakhm bhar gae hain...)
lahoo aur chitkaar..
sukhe hue badal zakhm pe chipke the..
is baar sukha pada hai.....
sukhe badal
kabhi zakhm nahi sukhate..sayd...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
4 comments:
bahut khoobsoorat kavita hai.
badhai.........
sach me.................jakhm kabhi nahi sookhte.
dhanyawaad shivansh ji.....aapne kavita padhi aur sarahi...
bahut hi zordaar hai ye to.......apnee feelings ko alag hi andaaz mein kaha hai aapne.......accha laga padh ke
Post a Comment