Popular Posts

Friday, August 2, 2013

Telangana..


Baitha hai budha Bharat kambhal ko odhe
Apni nirbal bhujaon mein rajyo ko jodein
Maun pidit dekhta hote apne kayi tukde
badle sadiyo se lobhiyo ke kewal mukhde

hahakaar charon aur,bharat hota khand-khand
Aise Danavon ki krurta asimit rahi prachand
ikke-dukke sehanshil manav huye ab klant
Pralay aagman ka sanket,man-sagar hai shaant

pratyaksh nara goro ka 'bhibhajan awem raj karo'
adrishya sapolo ka nara 'bharat bhibhajan aaj karo'
Antim saansein Bharat ki,Gagan na ashru bahana
Mukhaagni bharat ki karungi,banega jab telangana


Kuch shabdon ke maayne..:)
Nirbal-Kamzor
khand-khand-tukde
prachand-bahut jyada
krurta-merciless
klant-thake huye
pralay-dooms day
sanket-ishara
pratyaksh-saamne
lupt-gayab,chupe huye
sapolo-saanp ke bachche
Bhibhajan-divide





No comments: