Popular Posts

Wednesday, May 21, 2008

spasth hai khamoshi...

naya andaaz
dekha hai tumhara...
kuchh kehte hi nahi...
main kehne ki koshish
karti hoon...
kuchh sunte bhi nahi..

khamoshi bahut kuchh
keh jaati hai...spasht..
sun liya hai khamoshi
ko...kal bhi,aaj bhi...

saare zazbaat bikhar
chuke hai mere...
par aatmasamaan
nahi bikhra sakti main...

mera aatmasamman...
sunna chahta hai
'aakhri alvida'...
tumhare labon se...

ye mera haq bhi hai......!!

No comments: