Popular Posts

Sunday, April 27, 2008

kya kahain...

aasman ki badh gayi hai aabadi, kya kahain.....
na rahi parindo ko udne ki azaadi,kya kahain

dard aur tanhai yun chalte hai saath hamesha,
jyon dono ki ho gayi ho shaadi,kya kahain

shabd todne lage dam,kalam bhi chalti nahi
panno par maine syahi gira di, kya kahain.....

khwab ab doondhte firte hai ghar mera
jab aankhon ki roshni bhujha di,kya kahain

No comments: